Wednesday, November 25, 2009

Unforgettable journey-Dilli-6 Part-2

Day 4:So continuing with our trip subah hui aur shuruaat hui agle din ki. Socha will have something interesting.Waise sach toh yeh hai ki Day 4 mein jada interesting kuch nahin tha.Again we all went outside to hangout and visit some places.Aate waqt mein kisi se baat nahin kar raha tha.Was upset. Kunal bola "chod abhi bus mein baith ja baad mein baat karte hai kya hua." Maine bola "Delhi saath mein aaye the Tumne mujhe akela chod diya". hehehehe..........Sale kaminey aaj tak akela chod diya ka naara leke maarte rehthe hai.After a long day Ghum ke aane ke baad bola chalo kahin hum log dinner karte hai. Toh hum log dinner karne gaye Dhabe mein. Ab delhi mein ho aur dhabe mein na khao toh tumne kya khaya yaar........ bas fir kya tha hum log dhabe mein gaye. Wahan hamari public ne jo order dena chalu kiya kya bolu. All guys had in them the habit of ordering more food and then leaving behind d food. But in sabke beech mein ek bandah tha jo khane ko waste nahin hone dena chahtha tha. Ji haan bhaiyon or beheno mein. Bas us din kasam kha li thi kuch bhi ho jaye aaj khana waste nahin hone dunga. Toh kaise toh dheere dheere khana khatam kar hi diya. Kunal,Rohan, Ketan toh pagal ho gaye bola "abe khayaaaaa kaise."Haan fir kya tha uske baad back to home. Tabhi Ankur bola mein zara call karke aata hu.Usi waqt ketan uthkar bola are ankur ko company deta hu.Hum log bole abe woh phone par hoga tu kya karega company deke. Toh Ashish....are aakhir usne kuch bola. Woh bola "rakhwali karega." Baad mein Rohan aur kunal ne bola gaurav ek kaam kar na neeche se Juice leke aa na. Toh mein niche gaya toh kya dekha Ketan Coins leke khada hua hai. Maine bola "sale kamine tu bhi call karne aaya tha." Magar tab se line mein hi laga hua tha. Hehehe.......Kuch cheeze kabhi nahin badalti.Hmmmmmmm fir raat ko kya hua ek zabardast discussion. Ab topic bhi kaunsa "Independence." Mein jake so gaya bola bahut pakane wale hai. Zabardast discussion hua bahut hulla gulla hua. Thode samay baad sab log sone chale gaye.Kunal hamare bed par aake so gaya. Us par is baat ka kuch zyaada hi asar hua tha.Sab log ache ache sapne dekh rahe the.Beech mein kareeb 4 baje kunal utha aur Chilane laga "Angrezo bharat chodo". Sabki jo fatti.It was so hillarious.Sabki hawa tight yeh kunal ko kya ho gaya. Mereko laga Shivaji reborn ho gaye hai. Moving on.......

Day 5 and Day6:Ab hamne decide kiya ki hum log Hardwar jate hai. It was a one day trip.Bas ab hamare plan toh aise hi hote hai. Toh kya tha Ankur bola "tension mat lo mein Car book karta hu. Are mein Hoon na..........."bassss jab jab kisi ne aisa bola hai group mein matlab samajh jana chahiye kuch toh Scene hai re Baavaaaaa.......Toh bas subah subah sab taiyar hue aur nikal pade
hardwar ke liye.Haan ab kunal kabhi back seat par baitha hai jo ab baiththa. Woh bola "mein sabse lamba hu meri taange peeche fit nahin hongi." Sahi baat hai hame hi bana raha tha. Are driver kya tha, kya gadi chala raha tha jaan hi le li usne hamari. We all were very scared. We felt aaj toh gaye.Sabki fatti hui thi. Beech mein kunal bola " Uncle koi jaldi nahin hai aaram se chalao".But he was in no mood. And in the end trying to overatke usne bicycle wale ko gira diya. But he was not content with that aur usne ek gaadi ko thok diya. Shayad Haryanvi tha garam khoon..........chad gaya.khud ki galti aur un par chad raha tha.But woh uske bhi baap the. So finally he relented and accepted his fault.Finally we drove and as we came close by i tried to recollect all my childhood memories. But mujhe kal ka yaad nahin rehtha toh bachpan ka kaise yaad rehtha. So i tried to guide them to my tauji's house. But hamesha galat. Kunal bhadak gaya bola" Sale pata nahin hai toh mu kyun kholta hai". Finally maine bola yeh raasta hai. Kunal bolne laga sale khud ke ghar ka raasta nahin pata. Waise baat bhi sahi hai itni baar galat jo bola tha. So finally ghar pahuche aur tauji ne kahan " Take some rest we will go in evening to Hrishikesh and Harkipaudi". So finally evening mein decide kiya ki chalo Harkipaudi hoke aate hai. Chalo Ganga mein paap dho ke aa jate hai.Toh bas fir kya tha sab paani mein utare. Mein kuch jaada hi shaana bana. Bola Swimming karunga. So i tried to swin against the current aur aage hi nahin bhad paya. Aur hamesha ki tarah ho gaya popat. Rohan aur ketan utare bola chalo ganga mein dubaki maarte hai.Rohan toh andar aate hi bahar aa gaya.Bola" Kitna thanda hai paani". So what he and ketan did was jus sprinkled water on their bodies and started saying" paap dhool gaye". Wow ..... .......maan gaye Ustad!!!!!!!!!! Then we finally went to Hrishikesh where in we went to Laxman Jhula and then just missed the Evening Aarti. So we decided to visit as many temples as much as we can. Finally while coming back we went to my uncles house(Chachaji's house). Wapas aate waqt kaminey sale meri lene lage. Ab confidence ke baadshah log saamne baithe the. Car mein gana chal raha tha. Tabhi Kunal ne pucha Gaurav ek baat bata is muvie ka hero kaun hai. Toh maine bola" Abe Yeh Paap movie hai. Dekha memory." Kunal boal-Woh chod hero bol" Maine bola Abhsishek bachachan" Bola dekhi teri memory aur bahut hasse. Salon ne uske baad 4 saal tak li meri Paap ka hero bata bolke.KOi na..............And then finally hum log ruke tauji ke yahan raat ko.We all had great amount of fun as everyone will acknowledge. Subah Subah nikalna tha toh decide hua ki fresh ho jao. I took a bath not so sure all others did. Ek toh winter season upar sa paani itna thanda aur woh bhi subah subha (pause) yeh toh hona hi thaaaa.Again while going back we visited some temples .Jate waqt Ankur ne bola ki we will stop at my uncles house and then finally go back to delhi. We stopped at some place near to hardwar and met his uncle.Really it was so great to meet them and have dinner with them. Real great fun. Aur isi ke saath humne wapasi ki delhi ke liye. And finally every one went to their respective rooms.

Day 7: Is din hum sab taiyar hoye aur socha chalo monastery jate hai kuch shopping karte hai. Ankur ne kahan bahut sahi market hai. Toh kahan sahi hai, chalo chalte hai. Is baar ankur bhi meri tarah ho gaya.Kunal ne toh uski le hi li. Bola "18 saal se reh raha hai abhi tak raasta nahin malum.Kabhi ghar se bahar nikala hai" Same old thing. Haan fir hum pahuche Monastery market and i did the shopping.1 shirt aur jeans li thi.Woh shirt aaj bhi mera saath de rahi hai.Fir uske baad ek dum se rohan ka mood hua bola movie dekhna hai.Are fir kya tha woh peeche pad gaya.Movie thi "Musafir". Aur usko kuch bhi karke muvie dekhni thi. Ticket mil rahi thi black mein. Kunal bola not worth it yaarrrr.Baad mein aaya discuss kiya rohan bola "mein daalta hu magar movie dekhthe hai." So kunal went back but to everyones horror he raised the money again. Then we gave up and finally went back to home.Us din kunal ne shayad ek Air gun le li thi. Uske haath mein khilauna aa gaya tha. Bas kya tha style toh maarni thi.

Day 8: Nothing special,sat at home. Did nothing bas kunal apni gun ke saath laga raha aur wohi game sab khelte rahe. I dont think we went anywhere. Haan yeh game ke chakkar mein kunal ne ghar ke aadhe se jada tubleights fod di. Pura plan tha uska hame andhere mein rakhne ka.

Day 9: Last day of our trip. Aaj mein toh surpise ho gaya.Itna pata tha last din hai ankur toh jayega Aarushi ko milne. But later aarushi came to home with a cake.Ohhhhhhhh.........very surprising. Then they both spend the time together.ab bichad jo rahe the toh kisi ne disturb nahin kiya. Aarushi was not feeling good as Ankur was leaving.Uska pyaar wapas laut raha tha.So she was upset aur hamare kaminey public unko pareshan karne mein lage rahe. Waise dono ro rahe the. Kyun yeh toh aaj tak mystery hai. USke baad Kunal woke up and don the cap of detective.Aur uske baad woh jo form mein aaya.Ab pata hai when kunal get into his strides no body can face him.And same happened with ankur. Uski toh kasam se le li kunal ne. Ketan aur harshika ki khanai bas 2 din ki thi aur isi ke saath khatam ho gayi. Bas unki thi cute si phone love story. So cute na.....hehhehehe. Woh ab meri jaan lene wala hai.And finally we left and went to Nizamuddin station.From there we boarded the train

Day 10: So hum train mein travel kar rahe the. So we met some people out there and then bas kya tha dosti ho gayi.Chak de Phatte........ Wahan maine pehli baar patte khelna sikha. So this was the beginning of a game which i and kunal endlessly played together "Bluff". I didnt knew the rules and again did some stupidity. Udhar ek bhaiya jo mile un ne pucha tune galat patta feka
hai.I was shocked and said" Haan!!!!!!!kaise pata chala". Ho gaya popat isme bolna nahin hota hai. Aur buri tarah haar gaya. But jahan tak yaad hai ek game jeeta bhi tha.God is so Great!!!!!!! Then unme se ek bhaiya ek uncle ka haath padne lage. Hum log shock ho gaye toh unhone kaha " It's just my hobby. I do it sometimes". Bas sabne haath dikha diye. Kunal ko bola "Tereko yeh sem mein KT lagega". Mereko bola "Tujhe kabhi gf nahin banegi and u will never go abroad". Kya baat hai dono hi galat nikale mere toh.Ankur ko bola tu management karega. Rohan ko bola " U will go very high". Aise hamre ek dost ne uska chehra padke bhi bola hai.So With this came to an end our Delhi Trip!!!!!!!!! Memorable in many ways.

Semester 4 next